Saturday, September 1, 2012

maar jaunga



Hai yeh katil jawani..Maar jaunga..
Aur ush par aatish jawani..Maar jaunga!

Main toh rakhta hun dil mein sairana sadhgi..
Ushki hasrath aashmani..Maar jaunga!

Na aankh lage hai meri, na ata woh khwab mein..
Raatbhar rahi jaan fishani..Maar jaunga!

Kya nehi hai didani jahan-e-raang wo bu..
Meri aandar khana wirani..Maar jaunga!

Bewafa marzi se hai wo, bewafai bhi marzi se hai..
Mohabaat ki yeh tehatani..Maar jaunga!


English Meaning Of The Key Urdu Words
1. Aatish Jawani = Eloquence
2. Jaan Fishani = Hardship
3. Didani Jahan-E-Raang Wo Bu = Worldly Attraction Worth Seeing
4. Khana Wirani = Ruination
5. Tehatani = Binary Status


No comments:

Post a Comment